Meri Duniya Hai Maa Lyrics

Jab bolna bhi aata na tha tujhko pukara hai maa
Har dard seh ke duniya ke tune mujhko banaya hai maa
Jab na khuda yahan aa saka to tujhko banaya hai maa
Meri dua hai maa
Tujhe pata hai na
Teri god mein hi
Meri duniya hai maa
Ungli pakad ke chalna sikhaya
Har jeet ka rasta dikhaya
Ummeed kya hai tune bataya
Har baat janti hai
Tu sath hai to hai ye ghar
Tera pyar hai to kya fikar
Main jhooth bhi bolu agar
To sach manti hai
Tu kitni bholi bhali hai seene lagaya har baar
Mujhe loriya sunati thi soyi nahi kayi raat
Jab na khuda yahan aa saka to tujhko banaya hai maa
Meri dua hai maa
Tujhe pata hai na
Teri god mein hi
Meri duniya hai maa