Jab Wo Din Aayega Lyrics : New Hindi Song 2026
Aaj yun hi baitha tha main phir ye khayaal aaya
Dil ki suni nahi ab dil mein sawaal aaya
Jeeta raha ab tak akela kuchh soche bin
Door door rehke paas ye malaal aaya
Chalo tha main galat ye bhi mana
Main na kahoon phir bhi tum aana
Akhiri dafa aake jana na
Har lamha sang tere bitaoon
Band palken tujh mein kho jaoon
Akhiri dafa hosh mein aaoon na
Jab wo din aayega
Jahan mein sab mit jayega
Aasman bhi gir jayega
Kya mujhe tu mil payega
Jab wo din aayega
Akhiri pal reh jayega
Ankhon mein aansoo layega
Kya mujhe tu mil payega
Sach tha dil ka sauda
Na koi herapheri
Teri saanse meri meri saanse teri
baandha mann ka dhaga
Haan baandhi dil ki dori
Meri har duayen hai teri bas teri
Chalo tha main galat ye bhi mana
Main na kahoon phir bhi tum aana
Akhiri dafa aake jana na
Har lamha sang tere bitaoon
Band palken tujh mein kho jaoon
Akhiri dafa hosh mein aaoon na
Jab wo din aayega
Jahan mein sab mit jayega
Aasman bhi gir jayega
Kya mujhe tu mil payega
Jab wo din aayega
Akhiri pal reh jayega
Ankhon mein aansoo layega
Kya mujhe tu mil payega
I love how the song mixes hope with a sense of sadness. The idea of wanting one last chance to make things right really hits home for a lot of us, doesn’t it?